Saturday, July 16, 2011

aajmaish

khuda ne sapne main kaha
apne gamo ki yu numaish na kar
apne naseeb ki yu aazmaish na kar
jo tera hai wo tere dar par jarur aayega
roj roj use pane ki farmaish na kar

Wednesday, July 6, 2011

par wo pure ni hote

jinke dil pe lagi ho wo ankho se ni rote
jo apno k ni huye wo kisi or k ni hote
waqt ne aksar sikhlaya hai mjhe
sapne toot jate hai aur wo pure ni hote

Friday, July 1, 2011

hasta hua jaounga

bahut roya tha main jab mera janam hua tha
or has rahi thi ye dunia
badla lounga jamane se ek din
hasta hua jaounga or royegi ye dunia

khuda to ni

kisi k dil main basna bura to ni
kisi ko dil main rakhna khata to ni
gunah hai jamane ki najro main to kya hua
jamane wale insan hai khuda to ni

juban ijhar kar bethi

kasoor to tha in nigaho ka
jo chupke se didiar kar bethi
humne to khamosh rhne ki thani thi
par bewafa juban injhar kr bethi

Teri Duaon ke Samne

meri wafaye hai unki wafao k samne
jaise koi chirag hai hawao k samne
gardish to chati hai tabhai meri
par wo majbur hai teri duao k samne

kabristan main ek chota sa kona hoga

maut ki godi main jab sona hoga
na koi takia hoga na koi bichona hoga
hum honge or humari tanhayi hogi
or kabristan main ek chota sa kona hoga

UNKO KHUD PAR GUROOR HO GYA

Unse milkar bichdna to dastoor ho gya
yado main unki dil majboor ho gya
kasoor ni isme kuch unka yaro
humari chahat hi itni thi ki unko khud par guroor ho gya

DIL KO SIKHYA NAHI JATA

RISHTO ko kahakr jataya ni jata
Kah kar kisi ko apna bnya ni jata
rishte to nibhaye jate hai pure dil se
or dil ko yar karna sikhya ni jata

humari yado ko

humari yado ko na dil se juda krna
jindgi me na kabhi ye gunah karna
kuch waqt chahe beet jaye tumse bat kiye bina
jindgi na beet jaye ye dua karna

hume bhul jata hai

Roj koi khwab toot jata hai
har roj koi apna ruth jata hai
na jane meri kismat main kya hai
jise hum yad krte hai wo hume hi bhul jata hai